wohi aaftab-e-haqiqat wohi shua
vohī āftāb-e-haqīqat vohī shuā
vohī mutī.a apne hukm kā vohī mutā
vohī makāñ vohī makīñ vohī kaun
vohī dimāġh vohī havās vohī nuḳhā.a
vohī sharāb vohī mai saaqī vohī hai mast
qavvāl vohī sāme.a vohī vohī sama.a
zāhid na ho tuuñ yak taraf is jām-e-aish se
paikar sharāb-e-vajd kā ho tārik-e-ḳhudā
vahdat ke mai-kada meñ sukūnat-pazīr ho
maz.hab kuuñ chhoḌ vikh ke mashrab kā ittisā.a
jag meñ samajh ki ġhair-e-ḳhudā aur kuchh nahīñ
vohī dukān-dār ḳharīdār aur vohī matā.a
'bedil' tuuñ ittihād kā qaa.el ho bil-yaqīñ
jar se duī ke jhaaḌ kā kar jald inqitā.a
wohi aaftab-e-haqiqat wohi shua
wohi mutia apne hukm ka wohi muta
wohi makan wohi makin wohi kaun
wohi dimagh wohi hawas wohi nuKHaa
wohi sharab wohi mai saqi wohi hai mast
qawwal wohi samea wohi wohi sama
zahid na ho tun yak taraf is jam-e-aish se
paikar sharab-e-wajd ka ho tarik-e-KHuda
wahdat ke mai-kada mein sukunat-pazir ho
mazhab kun chhoD wikh ke mashrab ka ittisaa
jag mein samajh ki ghair-e-KHuda aur kuchh nahin
wohi dukan-dar KHaridar aur wohi mataa
'bedil' tun ittihad ka qael ho bil-yaqin
jar se dui ke jhaD ka kar jald inqitaa
- Book : Bedil Jo Urdu Kalam (Pg. 138)
- Author : Faqeer Qadir Bakhsh Bedil
- Publication : Sachchayee Ishaat Ghar, Pakistan (1997)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.