saqi mujhe saghar diya mastana hun mastana hun
saaqī mujhe sāġhar diyā mastāna huuñ mastāna huuñ
is aql is idrāk se begāna huuñ begāna huuñ
bulbul sifat ai gul-badan is baaġh meñ har sub.h
terī bahāristān kā dīvāna huuñ dīvāna huuñ
tashbīh daur-e-jām hai tamsīl-e-chashm-e-pur-ḳhumār
tasvīr us kī dekh ke paimāna huuñ paimāna huuñ
jab nargis maḳhmūr uu jaadū kā dam afsūñ kiyā
dīvāngī tab suuñ setī afsāna huuñ afsāna huuñ
garche ba-zāhir duur huuñ is husn ke sultān se
lekin ba-bazm-e-ma.anavī ham-ḳhāna huuñ ham-ḳhāna huuñ
'bedil' jafā-kārī nahīñ kuchh yuuñ hamāre iḳhtiyār
varna ba-fahm-e-dostī farzāna huuñ farzāna huuñ
saqi mujhe saghar diya mastana hun mastana hun
is aql is idrak se begana hun begana hun
bulbul sifat ai gul-badan is bagh mein har subh
teri bahaaristan ka diwana hun diwana hun
tashbih daur-e-jam hai tamsil-e-chashm-e-pur-KHumar
taswir us ki dekh ke paimana hun paimana hun
jab nargis maKHmur u jadu ka dam afsun kiya
diwangi tab sun seti afsana hun afsana hun
garche ba-zahir dur hun is husn ke sultan se
lekin ba-bazm-e-manawi ham-KHana hun ham-KHana hun
'bedil' jafa-kari nahin kuchh yun hamare iKHtiyar
warna ba-fahm-e-dosti farzana hun farzana hun
- Book : Bedil Jo Urdu Kalam (Pg. 145)
- Author : Faqeer Qadir Bakhsh Bedil
- Publication : Sachchayee Ishaat Ghar, Pakistan (1997)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.