wajud ek hai bas la-ilaha-illa-hu
vajūd ek hai bas lā-ilāha-illā-hū
na kar duī kī havas lā-ilāha-illā-hū
vahī murġh vahī vahī āshiyān-hā huutī
vahī hai ain-e-qafas lā-ilāha-illā-hū
vahī hai qāfila-sālār-e-dasht-paimā.ī
vahī hai bāñg-e-jaras lā-ilāha-illā-hū
vahī hai buutā vahī hai aag vahī hai iksīr
vahī hai nuqra-o-mis lā-ilāha-illā-hū
latīf apne kaun kahtā kaif apne koñ
vahī hai jism-o-nafas lā-ilāha-illā-hū
vo hai lailā-o-majnūñ vahī hai bulbul-o-gul
vahī hai shakkar-o-magas lā-ilāha-illā-hū
vahī hai 'bedil'-e-fānī vahī hai nūr-e-baqā
vahī hai ātish-o-ḳhas lā-ilāha-illā-hū
wajud ek hai bas la-ilaha-illa-hu
na kar dui ki hawas la-ilaha-illa-hu
wahi murgh wahi wahi aashiyan-ha huti
wahi hai ain-e-qafas la-ilaha-illa-hu
wahi hai qafila-salar-e-dasht-paimai
wahi hai bang-e-jaras la-ilaha-illa-hu
wahi hai buta wahi hai aag wahi hai iksir
wahi hai nuqra-o-mis la-ilaha-illa-hu
latif apne kaun kahta kaif apne kon
wahi hai jism-o-nafas la-ilaha-illa-hu
wo hai laila-o-majnun wahi hai bulbul-o-gul
wahi hai shakkar-o-magas la-ilaha-illa-hu
wahi hai 'bedil'-e-fani wahi hai nur-e-baqa
wahi hai aatish-o-KHas la-ilaha-illa-hu
- Book : Bedil Jo Urdu Kalam (Pg. 150)
- Author : Faqeer Qadir Bakhsh Bedil
- Publication : Sachchayee Ishaat Ghar, Pakistan (1997)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.