diwali ToD kasrat ki jism se ab judai kar
divālī ToḌ kasrat kī jism se ab judā.ī kar
tajallā dekh vahdat kā ghar apne roshnā.ī kar
jahñ se tum ki aa.e the ihaañ suuñ pher jā jaldī
tumhīñ ho shaah do-jag meñ bhalā tark-e-gadā.ī kar
jism kuuñ chhoḌ kar uḌ jā ba-auj-e-arsa-e-lāhūt
aise qulzum meñ be-sar-pā ba-himmat dil-shanā.ī kar
nahīñ banda haqīqat meñ samajh asrār ma.anī kā
ḳhudī kā vahm barham zan pichhe be-ḳhud ḳhudā.ī kar
jab bhī is qaid-e-hastī se rakheñ fāriġh ḳhayāl apnā
taḳht par lā-makāñ ke baiTh 'bedil' bādshāhī kar
diwali ToD kasrat ki jism se ab judai kar
tajalla dekh wahdat ka ghar apne roshnai kar
jahn se tum ki aae the ihan sun pher ja jaldi
tumhin ho shah do-jag mein bhala tark-e-gadai kar
jism kun chhoD kar uD ja ba-auj-e-arsa-e-lahut
aise qulzum mein be-sar-pa ba-himmat dil-shanai kar
nahin banda haqiqat mein samajh asrar mani ka
KHudi ka wahm barham zan pichhe be-KHud KHudai kar
jab bhi is qaid-e-hasti se rakhen farigh KHayal apna
taKHt par la-makan ke baiTh 'bedil' baadshahi kar
- Book : Bedil Jo Urdu Kalam (Pg. 128)
- Author : Faqeer Qadir Bakhsh Bedil
- Publication : Sachchayee Ishaat Ghar, Pakistan (1997)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.