dil mein hai KHayal aaj kisi rashk-e-pari ka
dil meñ hai ḳhayāl aaj kisī rashk-e-parī kā
pūchho na mizāj ab mirī shorīda sirī kā
ai sham' shab-e-ġham meñ tire saath bujhe ham
zebā hai laqab ham ko bhī sham' saharī kā
āḳhir hai shab-e-hijr tham ai aah sharar-bār
vaqt aa gayā nazdīk duaa.e saharī kā
badnām hī duniyā meñ rahā qais to āḳhir
achchhā ye tarīqa to nahīñ nāmvarī kā
kyā laa.ī hai phir nik.hat-e-gesū-e-muambar
hai aaj dimāġh aur nasīm-e-saharī kā
tum sub.h se pahle hī chale ḳhair sudhāro
maiñ bhī to namūna huuñ charāġh-e-saharī kā
har sub.h ye laatī hai kisī zulf kī ḳhushbū
bhūlegā na ehsān nasīm-e-saharī kā
jis nargis maḳhmūr se kal dekhā thā tū ne
ab tak hai mujhe nashsha usī niiñd bharī kā
kuchh zād-e-safar paas nahīñ raah hai dushvār
allāh nigahbān mujh aise safarī kā
kahte haiñ vo sun kar mirī rusvā.ī kā qissa
aayā na ḳhayāl us ko mirī parda-darī kā
yā-rab ye huā jaa.e na us ġhairat-e-gul tak
mujh par hī asar ho mirī soz-e-jigrī kā
ai 'qais' mirī jaan hai vo ġhairat-e-lailā
maiñ huur kā shaidā huuñ na dīvāna parī kā
dil mein hai KHayal aaj kisi rashk-e-pari ka
puchho na mizaj ab meri shorida siri ka
ai sham' shab-e-gham mein tere sath bujhe hum
zeba hai laqab hum ko bhi sham' sahari ka
aaKHir hai shab-e-hijr tham ai aah sharar-bar
waqt aa gaya nazdik duae sahari ka
badnam hi duniya mein raha qais to aaKHir
achchha ye tariqa to nahin namwari ka
kya lai hai phir nikhat-e-gesu-e-muambar
hai aaj dimagh aur nasim-e-sahari ka
tum subh se pahle hi chale KHair sudhaaro
main bhi to namuna hun charagh-e-sahari ka
har subh ye lati hai kisi zulf ki KHushbu
bhulega na ehsan nasim-e-sahari ka
jis nargis maKHmur se kal dekha tha tu ne
ab tak hai mujhe nashsha usi nind bhari ka
kuchh zad-e-safar pas nahin rah hai dushwar
allah nigahban mujh aise safari ka
kahte hain wo sun kar meri ruswai ka qissa
aaya na KHayal us ko meri parda-dari ka
ya-rab ye hua jae na us ghairat-e-gul tak
mujh par hi asar ho meri soz-e-jigri ka
ai 'qais' meri jaan hai wo ghairat-e-laila
main hur ka shaida hun na diwana pari ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.