zara irshad ho phir kya kaha marne se kya hoga
zarā irshād ho phir kyā kahā marne se kyā hogā
agar hai vasl to phir is meñ 'ālam mubtalā hogā
liye ho haath meñ ḳhanjar to phir ab sochte kyā ho
tumhārā naam hogā aur hamārā faisla hogā
ḳhudā raazī rahe duniyā kī mujh ko kuchh nahīñ parvā
burā hogā to kyā hogā bhalā hogā to kyā hogā
hazāroñ minnateñ kiiñ par na maanī ek bhī tum ne
zarā sī baat sun loge to ai jaañ is meñ kyā hogā
maiñ kuchh 'āshiq nahīñ jo bas karūñ sahrā-navardī par
mirā charchā jahāñ meñ qais-o-lailā se sivā hogā
nahīñ vo case maiñ lailā kī ulfat meñ jo majnūñ thā
mirā shohra to bā'd-e-marg us se bhī sivā hogā
zara irshad ho phir kya kaha marne se kya hoga
agar hai wasl to phir is mein 'alam mubtala hoga
liye ho hath mein KHanjar to phir ab sochte kya ho
tumhaara nam hoga aur hamara faisla hoga
KHuda raazi rahe duniya ki mujh ko kuchh nahin parwa
bura hoga to kya hoga bhala hoga to kya hoga
hazaron minnaten kin par na mani ek bhi tum ne
zara si baat sun loge to ai jaan is mein kya hoga
main kuchh 'ashiq nahin jo bas karun sahra-nawardi par
mera charcha jahan mein qais-o-laila se siwa hoga
nahin wo case main laila ki ulfat mein jo majnun tha
mera shohra to ba'd-e-marg us se bhi siwa hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.