na roye wo jo andoh-gin aisa bhi hota hai
na roye vo jo andoh-gīñ aisā bhī hotā hai
na taḌpe dard-e-dil vaalā kahīñ aisā bhī hotā hai
vafā karte haiñ vā'da ye hasīñ aisā bhī hotā hai
mukar bhī jaate haiñ kah kar kahīñ aisā bhī hotā hai
kahā jab un se ik din be-bulā.e tum chale aao
to bole muskurā kar vo kahīñ aisā bhī hotā hai
hamīñ haiñ vo gale meñ jis ke qātil terī bāñheñ thiiñ
usī gardan pe ab hai teġh kahīñ aisā bhī hotā hai
kabhī the tum raqīboñ meñ ab aa.e mere qaabū meñ
kahīñ vaisā bhī hotā hai kahīñ aisā bhī hotā hai
kabhī aisā bhī hotā hai ki āñkhoñ se rahe ojhal
kabhī dil meñ ho vo ḳhalvat-nashīñ aisā bhī hotā hai
falak kī tarah to bhī pīstī hai marne vāloñ ko
sitam ahl-e-fanā par ai zamīñ aisā bhī hotā hai
ḳhabar letā nahīñ to case kī martā hai vo tujh par
batā ai laila-e-mahmil-nashīñ aisā bhī hotā hai
na roye wo jo andoh-gin aisa bhi hota hai
na taDpe dard-e-dil wala kahin aisa bhi hota hai
wafa karte hain wa'da ye hasin aisa bhi hota hai
mukar bhi jate hain kah kar kahin aisa bhi hota hai
kaha jab un se ek din be-bulae tum chale aao
to bole muskura kar wo kahin aisa bhi hota hai
hamin hain wo gale mein jis ke qatil teri banhen thin
usi gardan pe ab hai tegh kahin aisa bhi hota hai
kabhi the tum raqibon mein ab aae mere qabu mein
kahin waisa bhi hota hai kahin aisa bhi hota hai
kabhi aisa bhi hota hai ki aankhon se rahe ojhal
kabhi dil mein ho wo KHalwat-nashin aisa bhi hota hai
falak ki tarah to bhi pisti hai marne walon ko
sitam ahl-e-fana par ai zamin aisa bhi hota hai
KHabar leta nahin to case ki marta hai wo tujh par
bata ai laila-e-mahmil-nashin aisa bhi hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.