hum apne dard ko duniya mein kaise aam karen
ham apne dard ko duniyā meñ kaise aam kareñ
haiñ vo kahāñ jo mohabbat kā ehtirām kareñ
banā leñ apnī nigāhoñ ko tarjumāñ dil kā
na tum kalām kaaro aur na ham kalām kareñ
isī ummīd pe baiThe hue haiñ ham nākām
nazar milā.eñ vo ham se to ham kalām kareñ
hamāre zohd kī zāmin hai duurī saaqī
vo ḳhud pilā.e to tauba ko nazar-e-jām kareñ
hum apne dard ko duniya mein kaise aam karen
hain wo kahan jo mohabbat ka ehtiram karen
bana len apni nigahon ko tarjuman dil ka
na tum kalam karo aur na hum kalam karen
isi ummid pe baiThe hue hain hum nakaam
nazar milaen wo hum se to hum kalam karen
hamare zohd ki zamin hai duri saqi
wo KHud pilae to tauba ko nazar-e-jam karen
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 263)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.