teri baKHshi hui har musibat hum ko rahat se kuchh kam nahin hai
teri baKHshi hui har musibat hum ko rahat se kuchh kam nahin hai
Kashfi Lakhnavi
MORE BYKashfi Lakhnavi
terī baḳhshī huī har musībat ham ko rāhat se kuchh kam nahīñ hai
maut hai maut vo zindagī bhī jis kā hāsil terā ġham nahīñ hai
yuuñ to piine ko ye pī rahe haiñ raqs meñ jām-o-mīnā hai lekin
kaif-e-bāda se mahrūm haiñ sab aaj saaqī to braham nahīñ hai
ham ne maanā bahār aa ga.ī hai koī ḳhatra nahīñ ab ḳhizāñ kā
ahl-e-gulshan ye kyā mājrā hai rañg par kyuuñ ye mausam nahīñ hai
mahr kā ye karishma to dekho āsmāñ ban gayā sehn-e-gulshan
aisā ma.alūm hotā hai jaise chāñd taare haiñ shabnam nahīñ hai
nā-mukammal abhī hai fasāna josh girya kahīñ thak na jaanā
merā dāman to bhīgā hai lekin us kā dāman abhī nam nahīñ hai
raushnī-e-sahar kī tamannā ab bhalā kyā karūñgā maiñ 'kashfī'
mere dil meñ hai us kī tajallī mujh ko kHauf-e-shab-e-ġham nahīñ hai
teri baKHshi hui har musibat hum ko rahat se kuchh kam nahin hai
maut hai maut wo zindagi bhi jis ka hasil tera gham nahin hai
yun to pine ko ye pi rahe hain raqs mein jam-o-mina hai lekin
kaif-e-baada se mahrum hain sab aaj saqi to braham nahin hai
hum ne mana bahaar aa gai hai koi KHatra nahin ab KHizan ka
ahl-e-gulshan ye kya majra hai rang par kyun ye mausam nahin hai
mahr ka ye karishma to dekho aasman ban gaya sehn-e-gulshan
aisa malum hota hai jaise chand tare hain shabnam nahin hai
na-mukammal abhi hai fasana josh girya kahin thak na jaana
mera daman to bhiga hai lekin us ka daman abhi nam nahin hai
raushni-e-sahar ki tamanna ab bhala kya karunga main 'kashfi'
mere dil mein hai us ki tajalli mujh ko kHauf-e-shab-e-gham nahin hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 263)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.