lala-o-gul ki na ye baad-e-saba ki baat hai
lāla-o-gul kī na ye bād-e-sabā kī baat hai
ḳhūn-e-dil kā zikr hai rañg-e-hinā kī baat hai
ye jo dīvānoñ ke lab par dil-rubā kī baat hai
is ko kyā samjhegī duniyā ye vafā kī baat hai
mere mālik terī duniyā meñ ye kyā hone lagā
har taraf zulm-o-sitam jaur-o-jafā kī baat hai
kyuuñ na ab taqdīr chamke rah-ravān-e-shauq kī
jis taraf dekho unhīñ ke naqsh-e-pā kī baat hai
merī duniyā luuT lī jis be-vafā ne dosto
kyā karūñ lab par usī kāfir adā kī baat hai
jis ne apne sāz-e-hastī par sunā.ī thī ġhazal
un kī mahfil meñ usī naġhma-sarā kī baat hai
chashm-e-sāqī kā ishāra pā ke tauba toḌ dī
ye to 'kashfī' aap jaise bā-vafā kī baat hai
lala-o-gul ki na ye baad-e-saba ki baat hai
KHun-e-dil ka zikr hai rang-e-hina ki baat hai
ye jo diwanon ke lab par dil-ruba ki baat hai
is ko kya samjhegi duniya ye wafa ki baat hai
mere malik teri duniya mein ye kya hone laga
har taraf zulm-o-sitam jaur-o-jafa ki baat hai
kyun na ab taqdir chamke rah-rawan-e-shauq ki
jis taraf dekho unhin ke naqsh-e-pa ki baat hai
meri duniya luT li jis be-wafa ne dosto
kya karun lab par usi kafir ada ki baat hai
jis ne apne saz-e-hasti par sunai thi ghazal
un ki mahfil mein usi naghma-sara ki baat hai
chashm-e-saqi ka ishaara pa ke tauba toD di
ye to 'kashfi' aap jaise ba-wafa ki baat hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 263)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.