bigaD baiThe zara-si dil-lagi mein
bigaḌ baiThe zarā-sī dil-lagī meñ
haTo bhī ro.e dete ho hañsī meñ
hamāre dil ke ā.īne meñ dekho
lage haiñ laa'l kyā us aarsī meñ
tum apne partav-e-'āriz kī zau se
lagā do joḌ mah kī chāñdnī meñ
'ajab kyā is meñ hai aa.e na aa.e
ki hai ik saañs hī to aadmī meñ
ḳhudā se bakHshvāoge hameñ kyā
hasīnoñ kaam aao zindagī meñ
hamārā ḳhirman-e-dil jal gayā aah
bharī thiiñ bijliyāñ terī hañsī meñ
'qamar' ham aur tum rashk-e-qamar ho
ye donoñ chāñd chamkīñ chāñdnī meñ
bigaD baiThe zara-si dil-lagi mein
haTo bhi roe dete ho hansi mein
hamare dil ke aaine mein dekho
lage hain la'l kya us aarsi mein
tum apne partaw-e-'ariz ki zau se
laga do joD mah ki chandni mein
'ajab kya is mein hai aae na aae
ki hai ek sans hi to aadmi mein
KHuda se bakHshwaoge hamein kya
hasinon kaam aao zindagi mein
hamara KHirman-e-dil jal gaya aah
bhari thin bijliyan teri hansi mein
'qamar' hum aur tum rashk-e-qamar ho
ye donon chand chamkin chandni mein
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 248)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.