mujhse ruThi hai na kambaKHt qaza bhi aai
mujh se rūThī hai na kambaḳht qazā bhī aa.ī
merī taqdīr ka.ī baar balā bhī aa.ī
shukr hai bhes meñ qātil ke qazā bhī aa.ī
jaan lene ke liye us kī adā bhī aa.ī
shaiḳh ke dil se nikal kar ye kahāñ aa pahuñche
but-kada ham jo ga.e yād-e-ḳhudā bhī aa.ī
jaur karne ke liye jo hai salīqa darkār
jān-e-man tum ko to ab tak na jafā bhī aa.ī
mujh se ruThi hai na kambaKHt qaza bhi aai
meri taqdir kai bar bala bhi aai
shukr hai bhes mein qatil ke qaza bhi aai
jaan lene ke liye us ki ada bhi aai
shaiKH ke dil se nikal kar ye kahan aa pahunche
but-kada hum jo gae yaad-e-KHuda bhi aai
jaur karne ke liye jo hai saliqa darkar
jaan-e-man tum ko to ab tak na jafa bhi aai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 249)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.