zaban-e-haal se har ek nishan bolta hai
zabān-e-hāl se har ik nishāñ boltā hai
yahāñ makīn thā koī makāñ boltā hai
ziyāda der añdherā na rakh sakegī ghaTā
mire yaqīn kā ye āsmāñ boltā hai
vo apnā ḳhud hī nahīñ hai kisī kā kyā hogā
ye us ke baare meñ saarā jahāñ boltā hai
hamāre shahr se rahte haiñ duur saudāgar
hamāre shahr kā amn-o-amāñ boltā hai
milā hai hukm karo baat is tarah 'qāsim'
ki jis tarah se koī be-zabāñ boltā hai
zaban-e-haal se har ek nishan bolta hai
yahan makin tha koi makan bolta hai
ziyaada der andhera na rakh sakegi ghaTa
mere yaqin ka ye aasman bolta hai
wo apna KHud hi nahin hai kisi ka kya hoga
ye us ke bare mein sara jahan bolta hai
hamare shahr se rahte hain dur saudagar
hamare shahr ka amn-o-aman bolta hai
mila hai hukm karo baat is tarah 'qasim'
ki jis tarah se koi be-zaban bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.