unki wafa wafa hai na unki jafa jafa
un kī vafā vafā hai na un kī jafā jafā
qātil hai qatl kartī hai dil ko har ik adā
ye nukta-e-latīf hai ahl-e-junūñ kā raaz
samjheñge ramz-e-’ishq ko ham aap kyā bhalā
insāniyat ke naam par insāniyat-kushī
insān kar rahā hai ise ho gayā hai kyā
hai husn aisī chiiz ki saare jahān meñ
is kī nazīr koī bhī ab tak na pā sakā
saarā zamāna un kā fidā.ī hai ai 'qasīm'
charachā hai un ke husn kā har samt barmalā
un ki wafa wafa hai na un ki jafa jafa
qatil hai qatl karti hai dil ko har ek ada
ye nukta-e-latif hai ahl-e-junun ka raaz
samjhenge ramz-e-’ishq ko hum aap kya bhala
insaniyat ke nam par insaniyat-kushi
insan kar raha hai ise ho gaya hai kya
hai husn aisi chiz ki sare jahan mein
is ki nazir koi bhi ab tak na pa saka
sara zamana un ka fidai hai ai 'qasim'
characha hai un ke husn ka har samt barmala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.