wo kya insan hai jo muskurae shadman ho kar
wo kya insan hai jo muskurae shadman ho kar
Qasimul Haque Gayavi
MORE BYQasimul Haque Gayavi
vo kyā insān hai jo muskurā.e shādmāñ ho kar
mazā jab hai hañse vo said rañj-e-be-karāñ ho kar
na dil-bardashta ho aadmī nā-kāmiyābī se
na ho maġhrūr hargiz bā-murād-o-kāmrāñ ho kar
pata kyūñ-kar vo apnī manzil-e-maqsūd kā paa.e
bajā.e sa'ī jo rah jaa.e mahv-e-īñ-o-āñ ho kar
banā lo āshiyāñ apnā usī ujḌe chaman meñ phir
kahāñ ai ’andalībo jāoge be-ḳhānumāñ ho kar
na 'aish-e-zindagī ko dā.imī is dahr meñ samjho
na ho māyūs hargiz vaqf-e-ālām-e-jahāñ ho kar
na pahuñchā go sar-e-manzil ‘qasīm-e-kHasta-jāñ hamdam
magar ḳhaak us kī jā pahuñchī ġhubār-e-kārvāñ ho kar
wo kya insan hai jo muskurae shadman ho kar
maza jab hai hanse wo said ranj-e-be-karan ho kar
na dil-bardashta ho aadmi na-kaamiyabi se
na ho maghrur hargiz ba-murad-o-kaamran ho kar
pata kyun-kar wo apni manzil-e-maqsud ka pae
bajae sa'i jo rah jae mahw-e-in-o-an ho kar
bana lo aashiyan apna usi ujDe chaman mein phir
kahan ai ’andalibo jaoge be-KHanuman ho kar
na 'aish-e-zindagi ko daimi is dahr mein samjho
na ho mayus hargiz waqf-e-alam-e-jahan ho kar
na pahuncha go sar-e-manzil ‘qasim-e-kHasta-jaan hamdam
magar KHak us ki ja pahunchi ghubar-e-karwan ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.