choT jis ne ishq ki khai nahin
choT jis ne 'ishq kī khaa.ī nahīñ
us ne goyā zindagī paa.ī nahīñ
mil sakegā kaise manzil kā nishāñ
jab ki shauq-e-jāda-e-paimā.ī nahīñ
jo muqaddar meñ thā vo ho kar rahā
ek bhī tadbīr kaam aa.ī nahīñ
kyā kaheñ ham maġhribī tahzīb ko
us kī koī bhī adā bhaa.ī nahīñ
dil-rubā.ī jānte haiñ vo magar
dil-navāzī-o-dil-ārā.ī nahii.
daur-e-hāzir ke tamaddun ko salām
bhaa.ī kā hamdard ab bhaa.ī nahīñ
terī peshānī bhalā kis kaam kī
jab tujhe zauq-e-jabīñ-sā.ī nahīñ
hai vahī kibr-o-ġhurūr-o-tamkanat
kaun kahtā hai ki dārā.ī nahii.
choT jis ne 'ishq ki khai nahin
us ne goya zindagi pai nahin
mil sakega kaise manzil ka nishan
jab ki shauq-e-jada-e-paimai nahin
jo muqaddar mein tha wo ho kar raha
ek bhi tadbir kaam aai nahin
kya kahen hum maghribi tahzib ko
us ki koi bhi ada bhai nahin
dil-rubai jaante hain wo magar
dil-nawazi-o-dil-arai nahi
daur-e-hazir ke tamaddun ko salam
bhai ka hamdard ab bhai nahin
teri peshani bhala kis kaam ki
jab tujhe zauq-e-jabin-sai nahin
hai wahi kibr-o-ghurur-o-tamkanat
kaun kahta hai ki darai nahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.