auron ke waste to ishaara kuchh aur hai
auroñ ke vāste to ishārā kuchh aur hai
mujh be-navā ke aage bahānā kuchh aur hai
hālāt kā agarche taqāzā kuchh aur hai
lekin hamāre dil kī tamannā kuchh aur hai
yuuñ aap jo kaheñ vo bajā hai mire liye
sach pochhiye to asal fasānā kuchh aur hai
kyuuñ nazar-e-intishār hamārā chaman hai ab
kyā apne bāġhbāñ kā irādā kuchh aur hai
rakhiye na zaḳhm ġham pe kabhī marham-e-nishāt
is dil-nashīñ maraz kā mudāvā kuchh aur hai
andāz-e-nāz-e-husn hai kuchh aur ai ‘qasīm’
'ishq-e-niyāz-mañd kā da.ava kuchh aur hai
auron ke waste to ishaara kuchh aur hai
mujh be-nawa ke aage bahana kuchh aur hai
haalat ka agarche taqaza kuchh aur hai
lekin hamare dil ki tamanna kuchh aur hai
yun aap jo kahen wo baja hai mere liye
sach pochhiye to asal fasana kuchh aur hai
kyun nazar-e-intishaar hamara chaman hai ab
kya apne baghban ka irada kuchh aur hai
rakhiye na zaKHm gham pe kabhi marham-e-nishat
is dil-nashin maraz ka mudawa kuchh aur hai
andaz-e-naz-e-husn hai kuchh aur ai ‘qasim’
'ishq-e-niyaz-mand ka dawa kuchh aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.