ai kash ki parwa-e-do-alam nahin karte
ai kaash ki parva-e-do-'ālam nahīñ karte
kuchh bhī tirī ulfat ke sivā ham nahīñ karte
sajda hai ravā ek hī mahbūb ke dar par
ham apnī jabīñ aur kahīñ ḳham nahīñ karte
'āqil haiñ vo ā.inda pe haiñ jin kī nigāheñ
aur ’ahd-e-uzashta kā jo mātam nahīñ karte
pahuñcheñge sar-e-manzil-e-maqsūd vo kyūñ-kar
jo bahr-e-talab koshish-e-paiham nahīñ karte
rahmat kā numāyāñ kabhī jalva nahīñ hotā
taqsīr agar ḳhuld meñ aadam nahīñ karte
ai kash ki parwa-e-do-'alam nahin karte
kuchh bhi teri ulfat ke siwa hum nahin karte
sajda hai rawa ek hi mahbub ke dar par
hum apni jabin aur kahin KHam nahin karte
'aqil hain wo aainda pe hain jin ki nigahen
aur ’ahd-e-uzashta ka jo matam nahin karte
pahunchenge sar-e-manzil-e-maqsud wo kyun-kar
jo bahr-e-talab koshish-e-paiham nahin karte
rahmat ka numayan kabhi jalwa nahin hota
taqsir agar KHuld mein aadam nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.