shab-e-asra naqab uTTha jo ruKH se na-gahan tera
shab-e-asrā naqāb uTThā jo ruḳh se nā-gahāñ terā
to zāhir ho gayā 'ālam pe rāz-e-kun-fakāñ terā
rahegā ai dil-e-muztar Thikānā ab kahāñ terā
muḳhālif hai zamīñ terī 'adū se āsmāñ terā
sambhal ai bulbul-e-nādāñ 'adū hai bāġhbāñ terā
chaman meñ shāḳh-e-gul par kyā rahegā āshiyāñ terā
kalīsā meñ haram meñ dahr meñ terā hī charchā hai
magar hai fil-haqīqat ḳhāna-e-dil āstāñ terā
jo tū chāhe le bevafā yā bā-vafā ai but
ye terī zehniyat hai vahm terā hai gumāñ terā
ye kah kar bijliyāñ girtī raheñ mere nasheman par
hameñ gulshan meñ rakhnā hī nahīñ hai āshiyāñ terā
mire sajde ġhalat hoñ maiñ to qaa.il hī nahīñ is kā
mirī nazroñ meñ rahtā hai hamesha āstāñ terā
dikhā itnī na be-tābī maqām-e-sabr hai ai dil
ḳhudā jaane liyā jā.egā kab tak imtihāñ terā
nigāh-e-'ishq meñ hai ek duniyā ho ki 'uqbā ho
yahāñ bhī āstāñ terā vahāñ bhī āstāñ terā
'araq-ālūda hai shabnam se ai gul kyuuñ jabīñ terī
chaman meñ kaun dekhe manzar-e-nuz.hat-chakāñ terā
har ek manzil pe DhūñDhā hai tujhe ai yūsuf-e-sānī
pata miltā nahīñ hai kārvāñ dar kārvāñ terā
bahut se haiñ tujhe dair-o-haram meñ DhūñDhne vaale
na ye hai āstāñ terā na vo hai āstāñ terā
bajā.e ḳhud na thā dilchasp zikr-e-dozaḳh-o-jannat
qayāmat Dah gayā vā'iz magar tarz-e-bayāñ terā
jise hāsil ho pā-bosī zamīñ kyā āsmāñ hai vo
ki har mahfil meñ koī bhī na niklā rāz-dāñ terā
tamannā-e-shahādat rakhne vaale aa.egā ik din
karegī faisla 'qātil' kī teġh-e-kHūñchakāñ terā
shab-e-asra naqab uTTha jo ruKH se na-gahan tera
to zahir ho gaya 'alam pe raaz-e-kun-fakan tera
rahega ai dil-e-muztar Thikana ab kahan tera
muKHalif hai zamin teri 'adu se aasman tera
sambhal ai bulbul-e-nadan 'adu hai baghban tera
chaman mein shaKH-e-gul par kya rahega aashiyan tera
kalisa mein haram mein dahr mein tera hi charcha hai
magar hai fil-haqiqat KHana-e-dil aastan tera
jo tu chahe le bewafa ya ba-wafa ai but
ye teri zehniyat hai wahm tera hai guman tera
ye kah kar bijliyan girti rahen mere nasheman par
hamein gulshan mein rakhna hi nahin hai aashiyan tera
mere sajde ghalat hon main to qail hi nahin is ka
meri nazron mein rahta hai hamesha aastan tera
dikha itni na be-tabi maqam-e-sabr hai ai dil
KHuda jaane liya jaega kab tak imtihan tera
nigah-e-'ishq mein hai ek duniya ho ki 'uqba ho
yahan bhi aastan tera wahan bhi aastan tera
'araq-aluda hai shabnam se ai gul kyun jabin teri
chaman mein kaun dekhe manzar-e-nuzhat-chakan tera
har ek manzil pe DhunDha hai tujhe ai yusuf-e-sani
pata milta nahin hai karwan dar karwan tera
bahut se hain tujhe dair-o-haram mein DhunDhne wale
na ye hai aastan tera na wo hai aastan tera
bajae KHud na tha dilchasp zikr-e-dozaKH-o-jannat
qayamat Dah gaya wa'iz magar tarz-e-bayan tera
jise hasil ho pa-bosi zamin kya aasman hai wo
ki har mahfil mein koi bhi na nikla raaz-dan tera
tamanna-e-shahadat rakhne wale aaega ek din
karegi faisla 'qatil' ki tegh-e-kHunchakan tera
- Book : Diwan-e-Qatil (Pg. 294)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.