use kab dekh sakta hun main be-maqdur aankhon se
use kab dekh saktā huuñ maiñ be-maqdūr āñkhoñ se
jo ’īdeñ sab kī manvātā rahā maḳhmūr āñkhoñ se
idhar behosh haiñ muusā udhar vo jalva-farmā haiñ
koī dekhe zarā jākar nizām-e-tūr āñkhoñ se
isī ko 'iid kahte haiñ jo manvā.ī hai duniyā se
hilāl-e'-īd kī mānind ho tum duur āñkhoñ se
vahāñ kā naam le duuñ kyā jahāñ tashrīf farmā ho
bahut nazdīk ho dil se magar ho duur āñkhoñ se
vo un ke ruḳh kā jalva thā maiñ samjhā chāñd hai 'qātil'
hilāl-e'-īd dekhā bhī to dekhā duur āñkhoñ se
use kab dekh sakta hun main be-maqdur aankhon se
jo ’iden sab ki manwata raha maKHmur aankhon se
idhar behosh hain musa udhar wo jalwa-farma hain
koi dekhe zara jakar nizam-e-tur aankhon se
isi ko 'id kahte hain jo manwai hai duniya se
hilal-e'-id ki manind ho tum dur aankhon se
wahan ka nam le dun kya jahan tashrif farma ho
bahut nazdik ho dil se magar ho dur aankhon se
wo un ke ruKH ka jalwa tha main samjha chand hai 'qatil'
hilal-e'-id dekha bhi to dekha dur aankhon se
- Book : Diwan-e-Qatil (Pg. 304)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.