jo niyat-e-mai kar leta hai phir us pe sharab barasti hai
jo nīyat-e-mai kar letā hai phir us pe sharāb barastī hai
mai-ḳhāne ke zarre meñ saaqī kī nazar kī mastī hai
qassam-e-azal kā taḳhmīna ye kasrat vaale kyā jāneñ
mai kitnī rakhī hai shīshoñ meñ mai-ḳhvāroñ kī kitnī bastī hai
jhuk jaate haiñ saaqī ke dar par mar miTte haiñ qatre-qatre par
tauhīd ke bāda-parastoñ meñ kis shaan kī bāda-parastī hai
añgusht-numā.ī duniyā kī rusvā-e-mohabbat sahte haiñ
ye daur se apne rote haiñ maḳhlūq ḳhudā kī hastī hai
rabbe-arenī ke nā're kis sūkhā dil ne lagā.e haiñ
kyuuñ jalve tumhāre arzāñ haiñ kyuuñ jins-e-mohabbat sastī hai
ik abr-e-karam ik din umDā duniyā kī nigāhoñ ne dekhā
fārān se saare 'ālam par rahmat kī phuvār barastī hai
jo baat hai lab pe aatī hai ye dil kī haqīqat hai 'qātil'
bechainī kā ye ik dariyā hai armānoñ kī ye ik bastī hai
jo niyat-e-mai kar leta hai phir us pe sharab barasti hai
mai-KHane ke zarre mein saqi ki nazar ki masti hai
qassam-e-azal ka taKHmina ye kasrat wale kya jaanen
mai kitni rakhi hai shishon mein mai-KHwaron ki kitni basti hai
jhuk jate hain saqi ke dar par mar miTte hain qatre-qatre par
tauhid ke baada-paraston mein kis shan ki baada-parasti hai
angusht-numai duniya ki ruswa-e-mohabbat sahte hain
ye daur se apne rote hain maKHluq KHuda ki hasti hai
rabbe-areni ke na're kis sukha dil ne lagae hain
kyun jalwe tumhaare arzan hain kyun jins-e-mohabbat sasti hai
ek abr-e-karam ek din umDa duniya ki nigahon ne dekha
faran se sare 'alam par rahmat ki phuwar barasti hai
jo baat hai lab pe aati hai ye dil ki haqiqat hai 'qatil'
bechaini ka ye ek dariya hai armanon ki ye ek basti hai
- Book : Diwan-e-Qatil (Pg. 305)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.