Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

qatra wahi ki ru-kash-e-dariya kahen jise

Aasi Ghazipuri

qatra wahi ki ru-kash-e-dariya kahen jise

Aasi Ghazipuri

qatra vahī ki rū-kash-e-dariyā kaheñ jise

ya.anī vo maiñ kyuuñ na huuñ tujh kaheñ jise

vo ik nigāh ai dil-e-mushtāq is taraf

āshob-gāh-e-hashr-e-tamanā kaheñ jise

bīmār-e-ġham chāragarī kuchh zarūr hai

vo dard dil meñ de ki masīhā kaheñ jise

ai husn-e-jalva-e-ruḳh-e-jānāñ kabhī kabhī

taskīn-e-chashm-e-shauq-e-nazzārā kaheñ jise

is zo.af meñ tahammul-e-harf-o-sadā kahāñ

haañ baat vo kahūñ ki na kahnā kaheñ jise

ye baḳhshish apne banda-e-nāchīz ke liye

thoḌī pūñjī aisī ki duniyā kaheñ jise

vo ek zarra ḳhāk-e-qadam bahr-e-chashm-e-shuaq

muusā nigāh-e-mahr-e-tajallā kaheñ jise

ham-bazm ho raqīb to kyūñkar na chheḌiye

āhañg-e-sāz-e-dard ki naalā kaheñ jise

paimāna-e-nigāh se āḳhir chhalak gayā

sar-josh-e-zauq-e-vasl-e-tamannā kaheñ jise

'āsī' jo gul se gaal kisī ke hue to kyā

ma.ashūq vo ki sab se nirālā kaheñ jise

qatra wahi ki ru-kash-e-dariya kahen jise

yani wo main hi kyun na hun tujh sa kahen jise

wo ek nigah ai dil-e-mushtaq is taraf

aashob-gah-e-hashr-e-tamana kahen jise

bimar-e-gham ki chaaragari kuchh zarur hai

wo dard dil mein de ki masiha kahen jise

ai husn-e-jalwa-e-ruKH-e-jaanan kabhi kabhi

taskin-e-chashm-e-shauq-e-nazzara kahen jise

is zoaf mein tahammul-e-harf-o-sada kahan

han baat wo kahun ki na kahna kahen jise

ye baKHshish apne banda-e-nachiz ke liye

thoDi si punji aisi ki duniya kahen jise

wo ek zarra KHak-e-qadam bahr-e-chashm-e-shuaq

musa nigah-e-mahr-e-tajalla kahen jise

ham-bazm ho raqib to kyunkar na chheDiye

aahang-e-saz-e-dard ki nala kahen jise

paimana-e-nigah se aaKHir chhalak gaya

sar-josh-e-zauq-e-wasl-e-tamanna kahen jise

'asi' jo gul se gal kisi ke hue to kya

mashuq wo ki sab se nirala kahen jise

Source :
  • Book : Diwan-e-aasi (Pg. 73)
  • Author : Aasi Ghazipuri
  • Publication : Subhanallah Azeem Gorakhpuri (1938)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now