Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

qayamat hai kis ki uThai hui

Riyaz Khairabadi

qayamat hai kis ki uThai hui

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    qayāmat hai kis uThā.ī huī

    ye aafat hai sab un laa.ī huī

    akelī lahad meñ hai aa.ī huī

    qayāmat bhī hai khelī khaa.ī huī

    uḌā.eñge vo ḳhaak mere liye

    bure vaqt un se safā.ī huī

    jo mehñdī lagānā nahii. jānte

    ye hai aag un lagā.ī huī

    tirī bazm meñ ham bure kyuuñ bane

    vo kyā aisī ham se burā.ī huī

    ye kaahe ko aatī mirī qabr meñ

    qayāmat hai un satā.ī huī

    na kaam aa.e naale na dil taḌap

    kisī na un tak rasā.ī huī

    huā kyā paḌā ā.īna beach meñ

    ye thā kaun kis se laḌā.ī huī

    hañsī meñ uḌāte vo kyā merī baat

    kaho dab ga.ī lab tak aa.ī huī

    na kahnā adū se koī dil baat

    jahāñ muñh se niklī parā.ī huī

    adū ko dam-e-zabh vo laa.e saath

    use aa ga.ī merī aa.ī huī

    dikhāo nigah jo tum shoḳhiyāñ

    phire barq bhī tilmilā.ī huī

    nahii. āshiq-e-tūr dil lagī

    bujhegī na un lagā.ī huī

    ḳhudā apne bandoñ suntā agar

    sunte butoñ ḳhudā.ī huī

    mirī qabr par aake mai-kash piyeñ

    ghaTā hasratoñ hai chhā.ī huī

    yahī to marī jaan hai adū

    sab aafat hai us dil laa.ī huī

    uḌaao 'riyāz' uTh ke botal ke kaag

    ghaTā kab se hai aaj chhā.ī hoī

    qayamat hai kis ki uThai hui

    ye aafat hai sab un ki lai hui

    akeli lahad mein hai aai hui

    qayamat bhi hai kheli khai hui

    uDaenge wo KHak mere liye

    bure waqt un se safai hui

    jo mehndi lagana nahi jaante

    ye hai aag un ki lagai hui

    teri bazm mein hum bure kyun bane

    wo kya aisi hum se burai hui

    ye kahe ko aati meri qabr mein

    qayamat hai un ki satai hui

    na kaam aae nale na dil ki taDap

    kisi ki na un tak rasai hui

    hua kya paDa aaina beach mein

    ye tha kaun kis se laDai hui

    hansi mein uDate wo kya meri baat

    kaho dab gai lab tak aai hui

    na kahna adu se koi dil ki baat

    jahan munh se nikli parai hui

    adu ko dam-e-zabh wo lae sath

    use aa gai meri aai hui

    dikhao nigah ki jo tum shoKHiyan

    phire barq bhi tilmilai hui

    nahi aashiq-e-tur dil ki lagi

    bujhegi na un ki lagai hui

    KHuda apne bandon ki sunta agar

    tu sunte buton ki KHudai hui

    meri qabr par aake mai-kash piyen

    ghaTa hasraton ki hai chhai hui

    yahi to mari jaan ka hai adu

    sab aafat hai us dil ki lai hui

    uDao 'riyaz' uTh ke botal ke kag

    ghaTa kab se hai aaj chhai hoi

    Source :
    • Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 404)
    • Author : Riyaz Khairabadi
    • Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now