qaza ki der hai chalne ko hum tayyar baiThe hain
qazā kī der hai chalne ko ham tayyār baiThe haiñ
garāñ-bārī-e-tan se kyā kareñ nā-chār baiThe haiñ
vo ham ko dekhte haiñ ham ko dikhlā.ī nahīñ dete
hijāb-e-be-hijābī hai sar-e-bāzār baiThe haiñ
karishma apnī chashm-e-mast kā dikhlā de ai saaqī
yahāñ ham bhī b-ummīd-e-dīdār baiThe haiñ
ḳhabar apnī nahīñ rakhte ḳhabar ġhairoñ kī kyā rakheñ
ki āshiq mā-sivā-e-yār se be-zār baiThe haiñ
qaza ki der hai chalne ko hum tayyar baiThe hain
garan-bari-e-tan se kya karen na-chaar baiThe hain
wo hum ko dekhte hain hum ko dikhlai nahin dete
hijab-e-be-hijabi hai sar-e-bazar baiThe hain
karishma apni chashm-e-mast ka dikhla de ai saqi
yahan hum bhi b-ummid-e-didar baiThe hain
KHabar apni nahin rakhte KHabar ghairon ki kya rakhen
ki aashiq ma-siwa-e-yar se be-zar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.