hazaron bar azal se qibla-e-ahl-e-jahan badla
hazāroñ baar azal se qibla-e-ahl-e-jahāñ badlā
merī lauh-e-jabīñ badlī na un kā āstāñ badlā
na paayā aaj tak ham ne surāġh-e-manzil-e-hastī
kabhī ye kārvāñ badlā kabhī vo kārvāñ badlā
na chhalkā jaam phir koī na phir khaḌkā koī sāġhar
jo saaqī chal diyā uTh kar to mahfil kā samāñ badlā
na chhoḌā mutma.in un ko bhī tāsīr-e-mohabbat ne
yahāñ āñkhoñ se ḳhuuñ Tapkā to rañg-e-ruḳh vahāñ badlā
vo jab tak muskurāte haiñ zamāna muskurātā hai
samajh lo phir qiyāmat hai mizāj un kā jahāñ badlā
kahāñ maiñ aur kahāñ zauq-e-navāsanjī magar 'nashtar'
jumūd apnā ba-hukm-e-afqar-e-mo.ajiz bayāñ badlā
hazaron bar azal se qibla-e-ahl-e-jahan badla
meri lauh-e-jabin badli na un ka aastan badla
na paya aaj tak hum ne suragh-e-manzil-e-hasti
kabhi ye karwan badla kabhi wo karwan badla
na chhalka jam phir koi na phir khaDka koi saghar
jo saqi chal diya uTh kar to mahfil ka saman badla
na chhoDa mutmain un ko bhi tasir-e-mohabbat ne
yahan aankhon se KHun Tapka to rang-e-ruKH wahan badla
wo jab tak muskuraate hain zamana muskuraata hai
samajh lo phir qiyamat hai mizaj un ka jahan badla
kahan main aur kahan zauq-e-nawasanji magar 'nashtar'
jumud apna ba-hukm-e-afqar-e-moajiz bayan badla
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 301)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.