Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

zamin thi peshtar tujhse na pahle aasman paida

Nashtar Jayasi

zamin thi peshtar tujhse na pahle aasman paida

Nashtar Jayasi

MORE BYNashtar Jayasi

    zamīñ thī peshtar tujh se na pahle āsmāñ paidā

    tasadduq tujh pe hone ko huā saarā jahāñ paidā

    adā-e-husn be-bākī shi.ār-e-ishq gustāḳhī

    ḳhudā jaane huā kyuuñ kar hijāb-e-darmiyāñ paidā

    nikal aatā hai terā zikr-e-ġham bhī saath duniyā ke

    huā kartī hai aksar dāstāñ se dāstāñ paidā

    tujhe hājat nahīñ hai qum-be-iznillāh kahne

    tirī Thokar se hotī hai hayāt-e-jāvidāñ paidā

    lahad meñ rūh-e-mīr-o-mīrzā ko rashk hai 'nashtar'

    kiyā hai hazrat-e-afqar ne vo husn-e-bayāñ paidā

    zamin thi peshtar tujh se na pahle aasman paida

    tasadduq tujh pe hone ko hua sara jahan paida

    ada-e-husn be-baki shiar-e-ishq gustaKHi

    KHuda jaane hua kyun kar hijab-e-darmiyan paida

    nikal aata hai tera zikr-e-gham bhi sath duniya ke

    hua karti hai aksar dastan se dastan paida

    tujhe hajat nahin hai qum-be-iznillah kahne ki

    teri Thokar se hoti hai hayat-e-jawidan paida

    lahad mein ruh-e-mir-o-mirza ko rashk hai 'nashtar'

    kiya hai hazrat-e-afqar ne wo husn-e-bayan paida

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 302)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now