jalwa-ru-e-nabi nur-e-basar ho jae
jalva-rū-e-nabī nūr-e-basar ho jaa.e
mardum-e-dīda-e-arbāb nazar ho jaa.e
ik zarā terī tavajjoh jo idhar ho jaa.e
dil sanam-ḳhāna hai allāh kā ghar ho jaaye
rāt-din barq sar-e-tūr kā jalva dekhūñ
merī jānib nazar-e-lutf agar ho jaaye
dar pe rakhtā huuñ tire kaash tirī Thokar se
sarfarāz aaj mirā kāsa-e-sar ho jaaye
tere bīmār yahī karte haiñ har sub.h du'ā
aaj kuchh aur fuzūñ dard-e-jigar ho jaaye
hasrat-e-dīd ne dam rok liyā āñkhoñ meñ
tum jo aao to āhañg-e-safar ho jaa.e
jis taraf le ke chaleñ log janāza merā
kaash terā bhī usī samt guzar ho jaaye
un kī tā'rīf meñ jo she'r kahūñ meñ 'fazlī'
gosh vaalā ke qarīñ jaa.e guhar ho jaaye
jalwa-ru-e-nabi nur-e-basar ho jae
mardum-e-dida-e-arbab nazar ho jae
ek zara teri tawajjoh jo idhar ho jae
dil sanam-KHana hai allah ka ghar ho jaye
raat-din barq sar-e-tur ka jalwa dekhun
meri jaanib nazar-e-lutf agar ho jaye
dar pe rakhta hun tere kash teri Thokar se
sarfaraaz aaj mera kasa-e-sar ho jaye
tere bimar yahi karte hain har subh du'a
aaj kuchh aur fuzun dard-e-jigar ho jaye
hasrat-e-did ne dam rok liya aankhon mein
tum jo aao to aahang-e-safar ho jae
jis taraf le ke chalen log janaza mera
kash tera bhi usi samt guzar ho jaye
un ki ta'rif mein jo she'r kahun mein 'fazli'
gosh wala ke qarin jae guhar ho jaye
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 228)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.