tere jalwe ka hai mere dil-e-sad-chaak se ishq
tere jalve kā hai mere dil-e-sad-chāk se 'ishq
sho.ala-e-tūr kā goyā ḳhas-o-ḳhāshāk se 'ishq
nosh-e-dārū se ġharaz ab hai na tiryāk se 'ishq
said-e-bismil ko hai sayyād kī fitrāk se 'ishq
maiñ tirī yaad kī mahviyat-o-ġhaflat pe nisār
ahl-e-dānish ko mubārak rahe idrāk se 'ishq
ashk-e-ḳhūnīñ bhī 'atā kar jo diye zaḳhm-e-jigar
mujh ko maulā hai usī āb-e-tarab-nāk se 'ishq
chāhtā hai dil-e-be-tāb ko yuuñ nuur tirā
sham' ko jaise ho parvāna-e-be-bāk se 'ishq
kholtā aañkh nahīñ huuñ ki na khul jaa.e kahīñ
terī sūrat kā mire dīda-e-nam-nāk se 'ishq
bulbul-e-zār ko jaise gul tarse 'fazlī'
yuuñ azal se hai mujhe sāhib-e-laulāk se 'ishq
tere jalwe ka hai mere dil-e-sad-chaak se 'ishq
shoala-e-tur ka goya KHas-o-KHashak se 'ishq
nosh-e-daru se gharaz ab hai na tiryak se 'ishq
said-e-bismil ko hai sayyaad ki fitrak se 'ishq
main teri yaad ki mahwiyat-o-ghaflat pe nisar
ahl-e-danish ko mubarak rahe idrak se 'ishq
ashk-e-KHunin bhi 'ata kar jo diye zaKHm-e-jigar
mujh ko maula hai usi aab-e-tarab-nak se 'ishq
chahta hai dil-e-be-tab ko yun nur tera
sham' ko jaise ho parwana-e-be-bak se 'ishq
kholta aankh nahin hun ki na khul jae kahin
teri surat ka mere dida-e-nam-nak se 'ishq
bulbul-e-zar ko jaise gul tarse 'fazli'
yun azal se hai mujhe sahib-e-laulak se 'ishq
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 229)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.