qibla-e-dil kaba-e-jaan aur hai
qibla-e-dil ka.aba-e-jāñ aur hai
sajda-gāh-e-ahl-e-irfāñ aur hai
ho ke ḳhush kaTvāte haiñ apne gale
āshiqoñ kī īd-e-qurbāñ aur hai
roz-o-shab yaañ ek sī hai raushnī
dil ke dāġhoñ kā charāġhāñ aur hai
ḳhaar dikhlātī hai phūloñ kī bahār
bulbulo apnā gulistāñ aur hai
qaid meñ ārām āzādī vabāl
ham giraftāroñ kā zindāñ aur hai
bahr-e-ulfat meñ nahīñ kashtī kā kaam
nuuh se kah do ye tūfāñ aur hai
kis kā andesha hai barq-o-sail se
apne ḳhirman kā nigahbāñ aur hai
dard vo dil meñ vo siina par hai daaġh
jis kā marham jis kā darmāñ aur hai
ka.aba rū mehrāb abrū ai 'amīr'
apnī taa.at apnā īmāñ aur hai
qibla-e-dil kaba-e-jaan aur hai
sajda-gah-e-ahl-e-irfan aur hai
ho ke KHush kaTwate hain apne gale
aashiqon ki id-e-qurban aur hai
roz-o-shab yan ek si hai raushni
dil ke daghon ka charaghan aur hai
KHar dikhlati hai phulon ki bahaar
bulbulo apna gulistan aur hai
qaid mein aaram aazadi wabaal
hum giraftaron ka zindan aur hai
bahr-e-ulfat mein nahin kashti ka kaam
nuh se kah do ye tufan aur hai
kis ka andesha hai barq-o-sail se
apne KHirman ka nigahban aur hai
dard wo dil mein wo sina par hai dagh
jis ka marham jis ka darman aur hai
kaba ru mehrab abru ai 'amir'
apnī taat apna iman aur hai
- Book : Diwan-e-Ameer Ma'ruf Ba-Mirat-ul-Ghaib (Pg. 296)
- Author : Ameer Minayee
- Publication : Munshi Navalkishor, Lucknow (1922)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.