Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

rāz-e-sar-basta mohabbat ke zabāñ tak pahuñche

Hafeez Hoshiarpuri

rāz-e-sar-basta mohabbat ke zabāñ tak pahuñche

Hafeez Hoshiarpuri

MORE BYHafeez Hoshiarpuri

    rāz-e-sar-basta mohabbat ke zabāñ tak pahuñche

    baat baḌh kar ye ḳhudā jaane kahāñ tak pahuñche

    kyā tasarruf hai tire husn allāh allāh

    jalve āñkhoñ se utar kar dil-o-jāñ tak pahuñche

    tirī manzil pe pahuñchnā koī āsān na thā

    sarhad-e-aql se guzre to yahāñ tak pahuñche

    hairat-e-ishq mirī husn ā.īna hai

    dekhne vaale kahāñ se haiñ kahāñ tak pahuñche

    khul gayā aaj nigāheñ haiñ nigāheñ apnī

    jalve jalve nazar aa.e jahāñ tak pahuñche

    vahī is gosha-e-dāmāñ haqīqat jaane

    jo mire dīda-e-ḳhūñ-nāba-fishāñ tak pahuñche

    ibtidā meñ jinheñ ham nañg-e-vafā samjhe the

    hote hote vo gile husn-e-bayāñ tak pahuñche

    aah vo harf-e-tamannā ki na lab tak aa.e

    haa.e vo baat ki ik ik zabāñ tak pahuñche

    kis dil hai ki sune qissa-e-furqat merā

    kaun hai jo mire andoh-e-nihāñ tak pahuñche

    ḳhalish-añgez thā kyā kyā tirī mizhgāñ ḳhayāl

    TuuT kar dil meñ ye nashtar rag-e-jāñ tak pahuñche

    na pata sañg-e-nishāñ na ḳhabar rahbar

    justujū meñ tire dīvāne yahāñ tak pahuñche

    na ġhubār-e-rah-e-manzil hai na āvāz-e-jaras

    kaun mujh rahrav-e-gum-karda-e-nishāñ tak pahuñche

    saaf tauhīn hai ye dard-e-mohabbat 'hafīz'

    husn raaz ho aur merī zabāñ tak pahuñche

    rāz-e-sar-basta mohabbat ke zabāñ tak pahuñche

    baat baḌh kar ye ḳhudā jaane kahāñ tak pahuñche

    kyā tasarruf hai tere husn allāh allāh

    jalwe āñkhoñ se utar kar dil-o-jāñ tak pahuñche

    tirī manzil pe pahuñchnā koī āsān na thā

    sarhad-e-aql se guzre to yahāñ tak pahuñche

    hairat-e-ishq mirī husn āīna hai

    dekhne wale kahāñ se haiñ kahāñ tak pahuñche

    khul gayā aaj nigāheñ haiñ nigāheñ apnī

    jalwe jalwe nazar aae jahāñ tak pahuñche

    wahī is gosha-e-dāmāñ haqīqat jaane

    jo mere dīda-e-ḳhūñ-nāba-fishāñ tak pahuñche

    ibtidā meñ jinheñ hum nañg-e-wafā samjhe the

    hote hote wo gile husn-e-bayāñ tak pahuñche

    aah wo harf-e-tamannā ki na lab tak aae

    hae wo baat ki ek ek zabāñ tak pahuñche

    kis dil hai ki sune qissa-e-furqat merā

    kaun hai jo mere andoh-e-nihāñ tak pahuñche

    ḳhalish-añgez thā kyā kyā tirī mizhgāñ ḳhayāl

    TuT kar dil meñ ye nashtar rag-e-jāñ tak pahuñche

    na pata sañg-e-nishāñ na ḳhabar rahbar

    justujū meñ tere dīwāne yahāñ tak pahuñche

    na ġhubār-e-rah-e-manzil hai na āwāz-e-jaras

    kaun mujh rahraw-e-gum-karda-e-nishāñ tak pahuñche

    saf tauhīn hai ye dard-e-mohabbat 'hafīz'

    husn raaz ho aur merī zabāñ tak pahuñche

    Source :
    • Book : Nuquush Lahore (Pg. 203)
    • Author : Mohd Tufail
    • Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now