raat ko be-KHabar rahe aap to KHwab-e-naz mein
raat ko be-ḳhabar rahe aap to ḳhvāb-e-nāz meñ
niiñd na aa.ī sub.h tak ham ko shab-e-darāz meñ
aur kisī kā nuur hai us mah-e-dil-navāz meñ
aks ko dekh be-ḳhabar ā.īna-e-majāz meñ
dekhiye faisla ho kyā naaz aur niyāz meñ
jā.eñge be-bulā.e phir yaar kī bazm-e-nāz meñ
aap idhar bhī aa.iye ḳhalvat-e-nāz se kabhī
arz kareñge ham bhī kuchh anjuman-e-niyāz meñ
qissa-e-zulf chheḌ kar dil ne baḌā karam kiyā
aur bhī tuul baḌh gayā mirī shab-e-darāz meñ
dekh kar āsmāñ ko ham to zamīñ meñ gaḌ ga.e
jab na kahīñ jagah milī aap kī bazm-e-nāz meñ
rose haiñ jā ke baiThte rose uThā.e jaate haiñ
qudrat bahut hai āj-kal yaar kī bazm-e-nāz meñ
qalb-o-jigar pe ai 'jigar' kyā kahīñ kyā guzrā
donoñ-jahān luT ga.e ik nigāh-e-nāz meñ
raat ko be-KHabar rahe aap to KHwab-e-naz mein
nind na aai subh tak hum ko shab-e-daraaz mein
aur kisi ka nur hai us mah-e-dil-nawaz mein
aks ko dekh be-KHabar aaina-e-majaz mein
dekhiye faisla ho kya naz aur niyaz mein
jaenge be-bulae phir yar ki bazm-e-naz mein
aap idhar bhi aaiye KHalwat-e-naz se kabhi
arz karenge hum bhi kuchh anjuman-e-niyaz mein
qissa-e-zulf chheD kar dil ne baDa karam kiya
aur bhi tul baDh gaya meri shab-e-daraaz mein
dekh kar aasman ko hum to zamin mein gaD gae
jab na kahin jagah mili aap ki bazm-e-naz mein
rose hain ja ke baiThte rose uThae jate hain
qudrat bahut hai aaj-kal yar ki bazm-e-naz mein
qalb-o-jigar pe ai 'jigar' kya kahin kya guzra
donon-jahan luT gae ek nigah-e-naz mein
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 216)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.