Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

raat us tunuk-mizaj se kuchh baat baDh gai

Ehsanullah Khan Bayan

raat us tunuk-mizaj se kuchh baat baDh gai

Ehsanullah Khan Bayan

MORE BYEhsanullah Khan Bayan

    raat us tunuk-mizāj se kuchh baat baḌh ga.ī

    vo ruuTh kar gayā to ġhazab raat baḌh ga.ī

    ye kahiyo ham-nashīñ mujhe kyā kyā na kah ga.e

    maiñ ghaT gayā na aap kuchh zaat baḌh ga.ī

    bose ke naam pe lage kāTne zabāñ

    kitnī amal se aage mukāfāt baḌh ga.ī

    chashmoñ se mere shahr meñ tūfān-e-girya hai

    nādān jānte haiñ ki barsāt baḌh ga.ī

    samjhā thā maiñ kamar talak zulf kamāl

    vo paañv se bhī aage ka.ī haat baḌh ga.ī

    aġhyār se nahīñ hai sarokār yaar ko

    mere ba-raġhm un pe ināyāt baḌh ga.ī

    be-tauriyoñ se us 'bayāñ' maiñ to khiñch rahā

    ġhairoñ us ke saath mulāqāt baḌh ga.ī

    raat us tunuk-mizaj se kuchh baat baDh gai

    wo ruTh kar gaya to ghazab raat baDh gai

    ye kahiyo ham-nashin mujhe kya kya na kah gae

    main ghaT gaya na aap ki kuchh zat baDh gai

    bose ke nam hi pe lage kaTne zaban

    kitni amal se aage mukafat baDh gai

    chashmon se mere shahr mein tufan-e-girya hai

    nadan jaante hain ki barsat baDh gai

    samjha tha main kamar hi talak zulf ka kamal

    wo panw se bhi aage kai hat baDh gai

    aghyar se nahin hai sarokar yar ko

    mere ba-raghm un pe inayat baDh gai

    be-tauriyon se us ki 'bayan' main to khinch raha

    ghairon ki us ke sath mulaqat baDh gai

    Source :
    • Book : Diwan-e-Bayan Edited: Arjumand Ara (Pg. 121)
    • Author : Ahsanullaah Khan Bayan
    • Publication : Anjumat Taraqqi Urdu (Hind) New Delhi (2004)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now