kam nahin hoti hai ulfat ki jalan pani mein
kam nahīñ hotī hai ulfat kī jalan paanī meñ
lag ke phir bujhtī nahīñ hai ye agan paanī meñ
kyā samajhte ho tum āsāñ hai mohabbat karnā
ġharq kar detī hai chāhat kī lagan paanī meñ
hukm paate hī nikal aatī hai Duubī kashtī
hai hukūmat terī aa.e ġhaus-e-zaman paanī meñ
pal meñ hī Duub gayā vo jo ḳhudā bantā thā
kaam aayā na koī us kā jatan paanī meñ
machhliyāñ raqs kare vajd meñ aa.e maujeñ
rakh de apne jo qadam shāh-e-zaman paanī meñ
zikr-e-yazdāñ ke binā paak nahīñ hotā dil
laakh dho ke Dubo do ye badan paanī meñ
hai ye 'darvesh' kā amaañ jo mohammad chāhe
machhliyāñ dasht meñ paidā ho hiran paanī meñ
kam nahin hoti hai ulfat ki jalan pani mein
lag ke phir bujhti nahin hai ye agan pani mein
kya samajhte ho tum aasan hai mohabbat karna
gharq kar deti hai chahat ki lagan pani mein
hukm pate hi nikal aati hai Dubi kashti
hai hukumat teri aae ghaus-e-zaman pani mein
pal mein hi Dub gaya wo jo KHuda banta tha
kaam aaya na koi us ka jatan pani mein
machhliyan raqs kare wajd mein aae maujen
rakh de apne jo qadam shah-e-zaman pani mein
zikr-e-yazdan ke bina pak nahin hota dil
lakh dho ke Dubo do ye badan pani mein
hai ye 'darwesh' ka aman jo mohammad chahe
machhliyan dasht mein paida ho hiran pani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.