kya KHabar tumko ke kya karata hai ishq
kyā ḳhabar tum ko ke kyā karatā hai 'ishq
bādshāhoñ ko gadā karatā hai 'ishq
rasm-e-ulfat yuuñ adā karatā hai 'ishq
neze par qur.āñ paḌhā karatā hai 'ishq
'aish-o-'ishrat sab fanā karatā hai 'ishq
dil se duniyā ko judā karatā hai 'ishq
dar-haqīqat rahtī hai us kī baqā
zaat ko jis kī fanā karatā hai 'ishq
dil ko bhātī hī nahīñ phir rāhateñ
dard-e-ulfat jab 'atā karatā hai 'ishq
daar par de kar anal-haq kī sadā
hañs ke suulī par chaḌhā karatā hai 'ishq
ibtidā jis kī meñh meñ kī thī us kī
karbalā meñ intihā karatā hai 'ishq
ban gayā 'darvesh' dekho to rafīq
aur aage dekho kyā karatā hai 'ishq
kya KHabar tum ko ke kya karata hai 'ishq
baadshahon ko gada karata hai 'ishq
rasm-e-ulfat yun ada karata hai 'ishq
neze par quran paDha karata hai 'ishq
'aish-o-'ishrat sab fana karata hai 'ishq
dil se duniya ko juda karata hai 'ishq
dar-haqiqat rahti hai us ki baqa
zat ko jis ki fana karata hai 'ishq
dil ko bhati hi nahin phir rahaten
dard-e-ulfat jab 'ata karata hai 'ishq
dar par de kar anal-haq ki sada
hans ke suli par chaDha karata hai 'ishq
ibtida jis ki meinh mein ki thi us ki
karbala mein intiha karata hai 'ishq
ban gaya 'darwesh' dekho to rafiq
aur aage dekho kya karata hai 'ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.