aashiq pe taras khao pahle ki tarah phir se
'āshiq pe taras khaao pahle kī tarah phir se
mahfil meñ chale aao pahle kī tarah phir se
ham hijr ke 'ālam meñ din-rāt taḌapte haiñ
kuchh ham pe taras khaao pahle kī tarah phir se
tayyār haiñ dīvāne ye jaan luTā deñge
tum hukm to farmāo pahle kī tarah phir se
aayā hai sanam merā be-parda sar-e-mahfil
ab phuul to barsāo pahle kī tarah phir se
aḳhlāq kī dete the dushman bhī gavāhī kal
kirdār vo apnāo pahle kī tarah phir se
'darvesh' ke sar par hai ab dast-e-valī-ullāh
tum aañkh na dikhlāo pahle kī tarah phir se
'ashiq pe taras khao pahle ki tarah phir se
mahfil mein chale aao pahle ki tarah phir se
hum hijr ke 'alam mein din-raat taDapte hain
kuchh hum pe taras khao pahle ki tarah phir se
tayyar hain diwane ye jaan luTa denge
tum hukm to farmao pahle ki tarah phir se
aaya hai sanam mera be-parda sar-e-mahfil
ab phul to barsao pahle ki tarah phir se
aKHlaq ki dete the dushman bhi gawahi kal
kirdar wo apnao pahle ki tarah phir se
'darwesh' ke sar par hai ab dast-e-wali-ullah
tum aankh na dikhlao pahle ki tarah phir se
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 457)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.