nahin gul hai ye paimana kisi ka
nahīñ gul hai ye paimāna kisī kā
chaman hai yā ki mai-ḳhāna kisī kā
kisī kā ka.aba but-ḳhāna kisī kā
mirā ma.abad hai kāshāna kisī kā
kiyā be-jurm us ne ḳhūn-e-āshiq
na samjhā haaye samjhānā kisī kā
dil-e-sad-chāk kaam aa.egā ik din
banā.eñge use shānā kisī kā
mujhe hotā hai apne qatl kā ġham
jo yaad aatā hai pachhtānā kisī kā
hamārī bandagī kahnā butoñ se
agar ho dair meñ jaanā kisī kā
bhalā kyā Thiik hai qīmat kā us kī
do a.alam ho jo bai.āna kisī kā
rahe jaate haiñ dil meñ dil ke armāñ
sitam Dhātā hai sharmānā kisī kā
kahā us but ne sun kar hāl-e-'ālī'
ye afsūñ thā ki afsāna kisī kā
nahin gul hai ye paimana kisi ka
chaman hai ya ki mai-KHana kisi ka
kisi ka kaba but-KHana kisi ka
mera mabad hai kashana kisi ka
kiya be-jurm us ne KHun-e-ashiq
na samjha haye samjhana kisi ka
dil-e-sad-chaak kaam aaega ek din
banaenge use shana kisi ka
mujhe hota hai apne qatl ka gham
jo yaad aata hai pachhtana kisi ka
hamari bandagi kahna buton se
agar ho dair mein jaana kisi ka
bhala kya Thik hai qimat ka us ki
do aalam ho jo baiana kisi ka
rahe jate hain dil mein dil ke arman
sitam Dhata hai sharmana kisi ka
kaha us but ne sun kar haal-e-'ali'
ye afsun tha ki afsana kisi ka
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 208)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.