Thukraate hain wo sar jo mera kibr-o-naz se
Thukrāte haiñ vo sar jo mirā kibr-o-nāz se
sajde qadam pe karte haiñ ijz-o-niyāz se
ham ko khulā ye bhed baḌe pāk-bāz se
miltī hai shāhrāh-e-haqīqat majāz se
farhād-o-qais nā-balad rāh-e-ishq the
vāqif hamīñ haiñ us ke nasheb-o-farāz se
qissa shab-e-firāq kā be-intihā hai tuul
miltā hai silsila tirī zulf-e-darāz se
ai tark teġh-o-tīr kī kyā ehtiyāj hai
mujh ko shahīd kījiye shamshīr-e-nāz se
zāhid huzūr-e-qalb se jab tak adā na ho
batlā to kyā savāb phir aisī namāz se
'ālī' jo vasf likhte haiñ is rashk-e-gul ke ham
jhaḌte haiñ phuul ḳhāma mid.hat tarāz se
Thukraate hain wo sar jo mera kibr-o-naz se
sajde qadam pe karte hain ijz-o-niyaz se
hum ko khula ye bhed baDe pak-baz se
milti hai shahrah-e-haqiqat majaz se
farhad-o-qais na-balad rah-e-ishq the
waqif hamin hain us ke nasheb-o-faraaz se
qissa shab-e-firaq ka be-intiha hai tul
milta hai silsila teri zulf-e-daraaz se
ai tark tegh-o-tir ki kya ehtiyaj hai
mujh ko shahid kijiye shamshir-e-naz se
zahid huzur-e-qalb se jab tak ada na ho
batla to kya sawab phir aisi namaz se
'ali' jo wasf likhte hain is rashk-e-gul ke hum
jhaDte hain phul KHama midhat taraaz se
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 208)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.