wasl ki raat adu ki shab-e-furqat meri
vasl kī raat adū kī shab-e-furqat merī
haaye vo ġhair kī taqdīr ye qismat merī
phir bahār aate hī taaza huī vahshat merī
āj-kal phir nahīñ qaabū meñ tabī.at merī
na to maut aatī hai ai dil na sahar hotī hai
aaj kaaTe nahii. kaTtī shab-e-furqat merī
sāqiyā aañkh milā kar mujhe de jām-e-sharāb
yuuñ to mai se na bharegī kabhī niit merī
hai yaqīñ mujh ko dam-e-naz.a vo ā.eñge zarūr
jaan ke saath nikal jā.egī hasrat merī
be-kasī saath diyā tuune mirā jiite jī
chhoḌ denā na pas-e-marg rifāqat merī
na zamīñ tāza-o-sar-sabz dam fikr hu.vī
bahr-e-mavāj hai 'ālī' ki tabī.at merī
wasl ki raat adu ki shab-e-furqat meri
haye wo ghair ki taqdir ye qismat meri
phir bahaar aate hi taza hui wahshat meri
aaj-kal phir nahin qabu mein tabiat meri
na to maut aati hai ai dil na sahar hoti hai
aaj kaTe nahi kaTti shab-e-furqat meri
saqiya aankh mila kar mujhe de jam-e-sharab
yun to mai se na bharegi kabhi nit meri
hai yaqin mujh ko dam-e-naza wo aaenge zarur
jaan ke sath nikal jaegi hasrat meri
be-kasi sath diya tune mera jite ji
chhoD dena na pas-e-marg rifaqat meri
na zamin taza-o-sar-sabz dam fikr huwi
bahr-e-mawaj hai 'ali' ki tabiat meri
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 208)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.