rah-e-ishq mein ye sitam rahe faqat ek musht-e-ghubar par
rah-e-ishq mein ye sitam rahe faqat ek musht-e-ghubar par
Aziz Warsi Dehlvi
MORE BYAziz Warsi Dehlvi
rah-e-ishq meñ ye sitam rahe faqat ek musht-e-ġhubār par
kabhī khaal khīñchī ga.ī mirī to chaḌhā diyā daar par
koī tabsira bhī kare to kyā tire pur-ḳhulūs shi.ār par
jo nasīb-e-gul hai tirā karam to nigāh-e-lutf hai ḳhaar par
nahīñ josh-e-ishq shabāb par nahīñ zauq-e-dīd bahār par
ye ḳhayāl-e-ḳhām hai jazb-e-dil ki naqāb hai ruḳh-e-yār par
mire valvale mire hausle jo sharīk-e-zauq-e-sujūd haiñ
to hazār ka.abe banā.ūñgā maiñ jabīñ se ab dar-e-yār par
vo adā-shanās-e-ḳhizāñ huuñ maiñ vo mizāj-dān-e-bahār huuñ
na hai e'tibār-e-ḳhizāñ mujhe na yaqīn fasl-e-bahār par
kisī bevafā ke ḳhayāl meñ ye aziyyateñ ye musībateñ
jo ye aar hai to huā kare mujhe faḳhr hai isī aar par
vo ajiib the vo latīf the mujhe apne dil se 'azīz' the
vahī saañs merī hayāt ke jo guzar ga.e dar-e-yār par
rah-e-ishq mein ye sitam rahe faqat ek musht-e-ghubar par
kabhi khaal khinchi gai meri to chaDha diya dar par
koi tabsira bhi kare to kya tere pur-KHulus shiar par
jo nasib-e-gul hai tera karam to nigah-e-lutf hai KHar par
nahin josh-e-ishq shabab par nahin zauq-e-did bahaar par
ye KHayal-e-KHam hai jazb-e-dil ki naqab hai ruKH-e-yar par
mere walwale mere hausle jo sharik-e-zauq-e-sujud hain
to hazar kabe banaunga main jabin se ab dar-e-yar par
wo ada-shanas-e-KHizan hun main wo mizaj-dan-e-bahaar hun
na hai e'tibar-e-KHizan mujhe na yaqin fasl-e-bahaar par
kisi bewafa ke KHayal mein ye aziyyaten ye musibaten
jo ye aar hai to hua kare mujhe faKHr hai isi aar par
wo ajib the wo latif the mujhe apne dil se 'aziz' the
wahi sans meri hayat ke jo guzar gae dar-e-yar par
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 39)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.