rah-e-ishq se guzarna dil-e-muztarib sambhal kar
rah-e-ishq se guzarnā dil-e-muztarib sambhal kar
yahāñ qāfile luTe haiñ faqat ek gaam chal kar
kahīñ ruḳh badal na le ab mirī aarzū kā dhārā
vo badal rahe haiñ nazreñ mirī zindagī badal kar
mirā hāl-e-dil na pūchho mirā hāl-e-dil hī kyā hai
ki maiñ saañs le rahā huuñ shab-e-ġham sañbhal-sañbhal kar
vahī dil kī ārzūeñ jo ghuTī huī thiiñ dil meñ
shab-e-ġham nikal rahī haiñ mire āñsuoñ meñ Dhal kar
tirī bazm meñ nahīñ hai koī farq dair-o-ka.aba
mirī ruuh bhī na jaa.e tirī bazm se nikal kar
ye kashākash-e-zamāna rahe hashr tak salāmat
na.ī zindagī milī hai mujhe is fazā meñ pal kar
mirī shā.erī ko nisbat hai ḳhudā-o-nā-ḳhudā se
ho 'azīz' nukta-chīnī to ho soch kar sambhal kar
rah-e-ishq se guzarna dil-e-muztarib sambhal kar
yahan qafile luTe hain faqat ek gam chal kar
kahin ruKH badal na le ab meri aarzu ka dhaara
wo badal rahe hain nazren meri zindagi badal kar
mera haal-e-dil na puchho mera haal-e-dil hi kya hai
ki main sans le raha hun shab-e-gham sanbhal-sanbhal kar
wahi dil ki aarzuen jo ghuTi hui thin dil mein
shab-e-gham nikal rahi hain mere aansuon mein Dhal kar
teri bazm mein nahin hai koi farq dair-o-kaba
meri ruh bhi na jae teri bazm se nikal kar
ye kashakash-e-zamana rahe hashr tak salamat
nai zindagi mili hai mujhe is faza mein pal kar
meri shaeri ko nisbat hai KHuda-o-na-KHuda se
ho 'aziz' nukta-chini to ho soch kar sambhal kar
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 42)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.