raha na hosh kya ishq mein ye kiya humne
rahā na hosh kyā ishq meñ ye kiyā ham ne
butoñ ko sajda kiyā jaan kar ḳhudā ham ne
hazār haif nahīñ kuchh ḳhatar ki roz-e-alast
isī zabāñ se kahā thā balā-balā ham ne
butoñ kā ishq huā jab nasīb vaa.iz
ki muddatoñ kiyā pahle ḳhudā ḳhudā ham ne
tumhīñ to aa ga.e do-din meñ jaur-o-zulm-o-sitam
tamām-umr meñ sīkhī hai ik vafā ham ne
sunā hai kahtā thā 'aughat' ki dīn-o-īmāñ bhī
nisār hazrat-e-'vāris' pe kar diyā ham ne
raha na hosh kya ishq mein ye kiya hum ne
buton ko sajda kiya jaan kar KHuda hum ne
hazar haif nahin kuchh KHatar ki roz-e-alast
isi zaban se kaha tha bala-bala hum ne
buton ka ishq hua jab nasib waiz
ki muddaton kiya pahle KHuda KHuda hum ne
tumhin to aa gae do-din mein jaur-o-zulm-o-sitam
tamam-umr mein sikhi hai ek wafa hum ne
suna hai kahta tha 'aughat' ki din-o-iman bhi
nisar hazrat-e-'waris' pe kar diya hum ne
- Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 13)
- Author : Aughat Shah Warsi
- Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.