mansha ghalat na tha mera maqsad na tha ghalat
manshā ġhalat na thā merā maqsad na thā ġhalat
sochā gayā ġhalat mujhe samjhā gayā ġhalat
maiñ to safīr-e-ishq-o-mohabbat rahā magar
rokā gayā ġhalat mujhe Tokā gayā ġhalat
kaise namāz-e-ishq adā us kī ho ga.ī
niyyat ḳharāb jis kī thī qibla bhī thā ġhalat
maiñ oḌh ke ridā.e mohabbat fanā huā
phir bhī mere vajūd ko samjhā gayā ġhalat
har baat ā.īne kī tarah saaf thī magar
mafhūm us kā phir bhī nikālā gayā ġhalat
chehra kitāb-e-dard mohabbat banā rahā
vo harf-e-āshnā mujhe paḌhtā rahā ġhalat
huuñ us kī bebasī pe dil-o-jān se fidā
sab jaan ke bhī mujh ko samajhtā rahā ġhalat
'rahbar' nisāb ishq mukammal to paḌh liyā
satreñ ġhalat paḌhīñ paḌhā hāshiya ġhalat
mansha ghalat na tha mera maqsad na tha ghalat
socha gaya ghalat mujhe samjha gaya ghalat
main to safir-e-ishq-o-mohabbat raha magar
roka gaya ghalat mujhe Toka gaya ghalat
kaise namaz-e-ishq ada us ki ho gai
niyyat KHarab jis ki thi qibla bhi tha ghalat
main oDh ke ridae mohabbat fana hua
phir bhi mere wajud ko samjha gaya ghalat
har baat aaine ki tarah saf thi magar
mafhum us ka phir bhi nikala gaya ghalat
chehra kitab-e-dard mohabbat bana raha
wo harf-e-ashna mujhe paDhta raha ghalat
hun us ki bebasi pe dil-o-jaan se fida
sab jaan ke bhi mujh ko samajhta raha ghalat
'rahbar' nisab ishq mukammal to paDh liya
satren ghalat paDhin paDha hashiya ghalat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.