un ko gale lagae zamane guzar gae
un ko gale lagā.e zamāne guzar ga.e
ya.anī hañse hañsā.e zamāne guzar ga.e
rone kī aarzū bhī to jaatī rahī mirī
zaḳhmoñ ko muskurā.e zamāne guzar ga.e
lagtā hai mujh ko aaj koī jāntā nahīñ
patthar bhī ghar meñ aa.e zamāne guzar ga.e
aa jā ki terī diid kī puurī ho aarzū
āñkhoñ ko ghar banā.e zamāne guzar ga.e
apne hī choT dete rahe har ghaḌī mujhe
ġhairoñ se choT khaa.e zamāne guzar ga.e
un ko gale lagae zamane guzar gae
yani hanse hansae zamane guzar gae
rone ki aarzu bhi to jati rahi meri
zaKHmon ko muskurae zamane guzar gae
lagta hai mujh ko aaj koi jaanta nahin
patthar bhi ghar mein aae zamane guzar gae
aa ja ki teri did ki puri ho aarzu
aankhon ko ghar banae zamane guzar gae
apne hi choT dete rahe har ghaDi mujhe
ghairon se choT khae zamane guzar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.