ye kya kiya ki waqt ke mehwar se kaT gaya
ye kyā kiyā ki vaqt ke mehvar se kaT gayā
ya.anī anā kī zid meñ bhare ghar se kaT gayā
us ke nasīb meñ hai kahāñ kHushbū-e-iram
jo karbalā meñ sabt-e-payammbar se kaT gayā
teġh-o-sinān se nahīñ suniye janāb jī
apnā galā to pyaar ke ḳhanjar se kaT gayā
manzil use milegī bhalā kis tarah suno
jo darmiyān-e-rāh meñ 'rahbar' se kaT gayā
maiñ to shikār un kī nigah-e-nāz kā huā
ye kis ne kah diyā ki maiñ ḳhanjar se kaT gayā
'rahbar' batā ki kaun sī āḳhrī ghaḌī thī vo
jab merā haath ek gul-e-tar se kaT gayā
ye kya kiya ki waqt ke mehwar se kaT gaya
yani ana ki zid mein bhare ghar se kaT gaya
us ke nasib mein hai kahan kHushbu-e-iram
jo karbala mein sabt-e-payammbar se kaT gaya
tegh-o-sinan se nahin suniye janab ji
apna gala to pyar ke KHanjar se kaT gaya
manzil use milegi bhala kis tarah suno
jo darmiyan-e-rah mein 'rahbar' se kaT gaya
main to shikar un ki nigah-e-naz ka hua
ye kis ne kah diya ki main KHanjar se kaT gaya
'rahbar' bata ki kaun si aaKHri ghaDi thi wo
jab mera hath ek gul-e-tar se kaT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.