rahe yar aankhon mein hasrat yahi hai
rahe yaar āñkhoñ meñ hasrat yahī hai
hamārī namāz aur ibādat yahī hai
ḳhudā.ī meñ hai ye usī but kā jalva
ki parda hai sab aur haqīqat yahī hai
kahā vah hī mansūr ne marte marte
rahā haq zabāñ par sadāqat yahī hai
rahe chashm-e-nam dil ho pahlū meñ muztar
sunā hai nishān-e-mohabbat yahī hai
merī qabr tak us mere dard-e-dil ne
diyā saath merā rafāqat yahī hai
hasīñ jo nazar aayā us ko diyā dil
hamārī hamesha se aadat yahī hai
dar-e-shāh-e-'vāris' pe dam nikle 'aughaT'
tamannā yahī aur hasrat yahī hai
rahe yar aankhon mein hasrat yahi hai
hamari namaz aur ibaadat yahi hai
KHudai mein hai ye usi but ka jalwa
ki parda hai sab aur haqiqat yahi hai
kaha wah hi mansur ne marte marte
raha haq zaban par sadaqat yahi hai
rahe chashm-e-nam dil ho pahlu mein muztar
suna hai nishan-e-mohabbat yahi hai
meri qabr tak us mere dard-e-dil ne
diya sath mera rafaqat yahi hai
hasin jo nazar aaya us ko diya dil
hamari hamesha se aadat yahi hai
dar-e-shah-e-'waris' pe dam nikle 'aughaT'
tamanna yahi aur hasrat yahi hai
- Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 21)
- Author : Aughat Shah Warsi
- Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.