hum to tauhid ki hujjat bhi juda kahte hain
hum to tauhid ki hujjat bhi juda kahte hain
Ramzan Haidar Firdausi
MORE BYRamzan Haidar Firdausi
ham to tauhīd kī hujjat bhī judā kahte haiñ
ḳhāliq-e-husn-e-mohammad ko ḳhudā kahte haiñ
‘arsa-e-hijr ko ayyām-e-fanā kahte haiñ
vasl-e-sarkār-e-do-'ālam ko baqā kahte haiñ
taktī rahtī hai ijābat lab yūñhī har dam
rad nahīñ hotī jo mahbūb-e-ḳhudā kahte haiñ
ishq-e-taiba to muqaddar hai hamārā lekin
dekh lene ko sabhī ḳhaas atā kahte haiñ
maiñ kahāñ aur kahāñ na.at-e-rasūl-e-akram
jab karam hotā hai phir harf sanā kahte haiñ
mustafā kā jo nahīñ vo to ḳhudā kā bhī nahīñ
tai-shuda amar hai 'haidar' ba-ḳhudā kahte haiñ
hum to tauhid ki hujjat bhi juda kahte hain
KHaliq-e-husn-e-mohammad ko KHuda kahte hain
‘arsa-e-hijr ko ayyam-e-fana kahte hain
wasl-e-sarkar-e-do-'alam ko baqa kahte hain
takti rahti hai ijabat lab yunhi har dam
rad nahin hoti jo mahbub-e-KHuda kahte hain
ishq-e-taiba to muqaddar hai hamara lekin
dekh lene ko sabhi KHas ata kahte hain
main kahan aur kahan nat-e-rasul-e-akram
jab karam hota hai phir harf sana kahte hain
mustafa ka jo nahin wo to KHuda ka bhi nahin
tai-shuda amar hai 'haidar' ba-KHuda kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.