rawish us chaal mein talwar ki hai
ravish us chaal meñ talvār kī hai
maut ushshāq-e-gunahgār kī hai
gul-o-gulshan se kabhī jī na lagā.e
ye sadā murġh-e-giraftār kī hai
haa.e vo ham-nafsān-e-gulshan
ye duā āshiq-e-bīmār kī hai
dil kī qīmat se haiñ kaunain bhī kam
himmat ab hameñ ḳharīdār kī hai
rashk-e-gulshan ho ilāhī ye qafas
ye sadā murġh-e-giraftār kī hai
nik.hat-e-gul na sabā bhī laa.ī
ye sadā murġh-e-giraftār kī hai
aa ke be-parda mileñ vo dam-e-naz.a
ye duā āshiq-e-bīmār kī hai
pesh-e-mehrāb na kyuuñ sajde hoñ
sūrat us abrū-e-ḳhamdār kī hai
chaal vo chal ki na ho mahshar-ḳhez
ye ravish charḳh-e-jafākār kī hai
mujh ko hañgāma-e-mahshar se ġharaz
bas tamannā tire dīdār kī hai
talab-e-rāh-e-ḳhudā meñ lekin
pairvī haidar-e-karrār kī hai
rawish us chaal mein talwar ki hai
maut ushshaq-e-gunahgar ki hai
gul-o-gulshan se kabhi ji na lagae
ye sada murgh-e-giraftar ki hai
hae wo ham-nafsan-e-gulshan
ye dua aashiq-e-bimar ki hai
dil ki qimat se hain kaunain bhi kam
himmat ab hamein KHaridar ki hai
rashk-e-gulshan ho ilahi ye qafas
ye sada murgh-e-giraftar ki hai
nikhat-e-gul na saba bhi lai
ye sada murgh-e-giraftar ki hai
aa ke be-parda milen wo dam-e-naza
ye dua aashiq-e-bimar ki hai
pesh-e-mehrab na kyun sajde hon
surat us abru-e-KHamdar ki hai
chaal wo chal ki na ho mahshar-KHez
ye rawish charKH-e-jafakar ki hai
mujh ko hangama-e-mahshar se gharaz
bas tamanna tere didar ki hai
talab-e-rah-e-KHuda mein lekin
pairwi haidar-e-karrar ki hai
- Book : Diwan-e-aasi (Pg. 85)
- Author : Aasi Ghazipuri
- Publication : Subhanallah Azeem Gorakhpuri (1938)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.