mere dil mein kyun KHayal-e-kucha-e-dil-bar na ho
mere dil mein kyun KHayal-e-kucha-e-dil-bar na ho
Raza Firangi Mahali
MORE BYRaza Firangi Mahali
mere dil meñ kyuuñ ḳhayāl-e-kūcha-e-dil-bar na ho
bulbul-e-āvāra ko yād-e-chaman kyūñ-kar na ho
dil butān-e-dahr kī tauqīr kā ḳhūgar na ho
ḳhāna-e-ka’aba meñ bā-'azmat agar patthar na ho
va.ade par ā.eñge vo ai dil Thahar muztar na ho
barq-tābinda na ban aape se tū bāhar na ho
hijr ke ālām se chhūTūñ ye qismat meñ nahīñ
maut bhī aane kā gar va.ada kare bāvar na ho
TukḌe TukḌe ho gayā hai dil firāq-e-yār meñ
muntashir ai vasl ye ganjīna-e-abtar na ho
shar nikālā hai nirālā kahtā hai qātil mirā
zinda-e-jāved hai vo jism jis par sar na ho
uḌ sakeñ barsāt meñ kis tarah jugnū be-shumār
josh-e-girya meñ sharar-afshāñ jo dil aksar na ho
’āriz-e-tābāñ se hotā hai ise kasb-e-jiyā
shab-charāġh ik din tumhāre kaan kā gauhar na ho
ḳhuun kā pyāsā hai tū aur ḳhuun hī mujh meñ nahīñ
chiir kar dil dekh le qātil agar bāvar na ho
mere dikhlāne ko uTThe ho jo qatl-e-ġhair par
teġh lo vo haath meñ jis meñ zarā jauhar na ho
marte hī dīdār-e-jānāñ ho muyassar bil-yaqīñ
biich meñ haa.il agar ye parda-e-mahshar na ho
qatl hī par mere gar haT hai to āmāda huuñ maiñ
roz kā jhagḌā miTe tan par balā se sar na ho
tairtā hai phuul ban kar bahr-e-ġham meñ dil mirā
kis tarah Duube vo kashtī jis meñ kuchh lañgar na ho
qalb-e-momin ā.īna hai zāt-e-momin kā 'razā'
dekh kar hairāñ use kyuuñ 'aql-e-iskandar na ho
mere dil mein kyun KHayal-e-kucha-e-dil-bar na ho
bulbul-e-awara ko yaad-e-chaman kyun-kar na ho
dil butan-e-dahr ki tauqir ka KHugar na ho
KHana-e-ka’aba mein ba-'azmat agar patthar na ho
wade par aaenge wo ai dil Thahar muztar na ho
barq-tabinda na ban aape se tu bahar na ho
hijr ke aalam se chhuTun ye qismat mein nahin
maut bhi aane ka gar wada kare bawar na ho
TukDe TukDe ho gaya hai dil firaq-e-yar mein
muntashir ai wasl ye ganjina-e-abtar na ho
shar nikala hai nirala kahta hai qatil mera
zinda-e-jawed hai wo jism jis par sar na ho
uD saken barsat mein kis tarah jugnu be-shumar
josh-e-girya mein sharar-afshan jo dil aksar na ho
’ariz-e-taban se hota hai ise kasb-e-jiya
shab-charagh ek din tumhaare kan ka gauhar na ho
KHun ka pyasa hai tu aur KHun hi mujh mein nahin
chir kar dil dekh le qatil agar bawar na ho
mere dikhlane ko uTThe ho jo qatl-e-ghair par
tegh lo wo hath mein jis mein zara jauhar na ho
marte hi didar-e-jaanan ho muyassar bil-yaqin
bich mein hail agar ye parda-e-mahshar na ho
qatl hi par mere gar haT hai to aamada hun main
roz ka jhagDa miTe tan par bala se sar na ho
tairta hai phul ban kar bahr-e-gham mein dil mera
kis tarah Dube wo kashti jis mein kuchh langar na ho
qalb-e-momin aaina hai zat-e-momin ka 'raza'
dekh kar hairan use kyun 'aql-e-iskandar na ho
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 9)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.