dastan mazi ki ab batlaen kya
dāstāñ maazī kī ab batlā.eñ kyā
ho gayā jo ho chukā pachhtā.eñ kyā
phir tirī bātoñ meñ ham aa jā.eñge kyā
mustaqil dhoke pe dhokā khā.eñ kyā
ḳhāk-sārī ḳhaak ke putloñ meñ ho
be-sabab hī ḳhud pe ham itrā.eñ kyā
shā.irī shā.ir kī jab akkās hai
ahliyat ḳhud apnī ham jatlā.eñ kiyā
teġh lekar mausīqī par raqs ho
be-hisī par terī ab sharmā.eñ kyā
dil kisī sūrat bahaltā hī nahīñ
aap ke ġham se use bahlā.eñ kyā
josh-e-millat kyuuñ huā ThanDā 'razī'
shā.irī se phir use garmā.eñ kyā
dastan mazi ki ab batlaen kya
ho gaya jo ho chuka pachhtaen kya
phir teri baaton mein hum aa jāeñge kya
mustaqil dhoke pe dhoka khaen kya
KHak-sari KHak ke putlon mein ho
be-sabab hi KHud pe hum itraen kya
shairi shair ki jab akkas hai
ahliyat KHud apni hum jatlaen kiya
tegh lekar mausiqi par raqs ho
be-hisi par teri ab sharmaen kya
dil kisi surat bahalta hi nahin
aap ke gham se use bahlaen kya
josh-e-millat kyun hua ThanDa 'razi'
shairi se phir use garmaen kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.