teri ulfat mein pesh aai musibat apni haalat ko
tirī ulfat meñ pesh aa.ī musībat apnī hālat ko
jigar ko dil ko jaañ ko ruuh ko nazroñ ko qismat ko
kiyā bālā-e-tāq us husn kī qātil nigāhoñ ne
sipar ko teġh ko neze ko lashkar ko shujā.at ko
milegā jo mirā qātil to maiñ fursat se dekhūñgā
nigah ko naaz ko andāz ko paikar ko qāmat ko
sarāpā āfat-e-dil to qad-o-qāmat se ho ḳhatra
ḳhirad ko hosh ko fahm-o-zakā 'aql-o-zehānat ko
bulandī koī kyā jaane ke jis pe rashk aatā hai
falak ko chāñd ko tāroñ ko shahbāzoñ ko rif.at ko
kiyā allāh ne jānāñ faqat tere liye paidā
zamīñ ko āsmāñ ko ḳhushk-o-tar ko saarī ḳhilqat ko
'razī' kuchh bhī nahīñ un ke tasavvur hī ne jumbish dī
qalam ko harf ko mazmūn ko ḳhat-o-kitābat ko
teri ulfat mein pesh aai musibat apni haalat ko
jigar ko dil ko jaan ko ruh ko nazron ko qismat ko
kiya baala-e-taq us husn ki qatil nigahon ne
sipar ko tegh ko neze ko lashkar ko shujaat ko
milega jo mera qatil to main fursat se dekhunga
nigah ko naz ko andaz ko paikar ko qamat ko
sarapa aafat-e-dil to qad-o-qamat se ho KHatra
KHirad ko hosh ko fahm-o-zaka 'aql-o-zehanat ko
bulandi koi kya jaane ke jis pe rashk aata hai
falak ko chand ko taron ko shahbazon ko rifat ko
kiya allah ne jaanan faqat tere liye paida
zamin ko aasman ko KHushk-o-tar ko sari KHilqat ko
'razi' kuchh bhi nahin un ke tasawwur hi ne jumbish di
qalam ko harf ko mazmun ko KHat-o-kitabat ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.